Posted by: Irfan on: May 18, 2008
Naa mohabbat, na dosti ke liye
waqt rukta nahi kissi ke liye
Dil ko apne saza na de yoo.n hee
Iss zamaane’ be-rukhi ke liye
Kal jawaani ka hashr kya hoga
sonch le aaj, do gadhi ke liye
Har koi pyaar doondhta hai yahan
Apni tanha see zindagi ke liye
Waqt ke saath saath chalta rahe
yeh hee behtar hai aadmi ke liye
———————————————
Teray Rang Rang
Teray Rang Rang
Yeh Rang Dhang
Moula Rang Rang
Tunay Ata Kiya
Mainay Bhula Diya
Tunay Phir Say Diya
Na Shukar Kia
Tunay Aur Diya
Deta Hi Gaya
Mu Mod Diyay Daryaon Kay
Menay Hawa Main Udna Seekh Liya
Meri Agli Nazar Sitaaron Par
Phir Bhi Main Teray Sahaaron Par
Teray Rang Rang
Teray Rang Rang
Yeh Rang Rang
Teray Rang Rang
Main Jahan Bhi Jaaon Dunya Main
Teray Jalway Meray Sang Sang
Teray Rang Rang
Teray Rang Rang
Teray Rang Rang
Teray Rang Rang
Main Zaat Paat Mein Oonch Neech Mein Aur Firqon Mein Bata Huwa
Jo Sachai Ko Dhundla Day Dil Esi Gard Say Atta Huwa
Shikwa Nahin Jism Ki Matti Say Par Rooh Bhi Ab Betaab Nahin
Teray Hukam Pay Chalna Aik Taraf Tera Naam Bhi Lena Yaad Nahin
Kam Say Kam Mujhko Lota Day
Woh Rooh Aur Jism Ki Jang Jang
Teray Rang Rang
Teray Rang Rang
Teray Rang Rang
Teray Rang Rang
Main Jahan Bhi Jaaon Dunya Main
Teray Jalway Meray Sang Sang
Way Bulleya Assan Marna Nahin
Dor Peya Koi Hor
Dor Peya Koi Hor
Dor Peya Koi Hor
Na Main Maumin Wich Maseetan
Na Main Wich Kufar Diyan Rayt Aan
Na Main Paakan wich Paleet Aan
Na Main Moosa Na Firown
Ki Jaana’n Main Kon
———————————————
safar to maine kiya tha warna,
saare sazoan saaman uske the
mein to bus raazdaar tha uska,
saare raaz uske the
woh dariya mein pyasa baitha tha,
jabke samandar tamam uske the
woh dhup mein baitha hai chaaw dene ko,
jabke darakht saare sayadaar uske the,
aur yu to bazahir logoan mein maine rizk baata tha,
lekin darparda saare haath uske the,
maine kamaal bulandi pe jakar socha irfan,
yeh to saare kamaal uske the,
———————————————–
E Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe He Maine,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde
———————————————–
Kitni jaldi yeh mulakat guzar jati hai
pyas bujhti nahi ke barsat guzar jati hai
Apni yaadon se keh do ke yun na aaya kare
neend aati nahi aur raat guzar jati hai
———————————————–
aashiyane ki baat karate ho
dil jalane ki baat karate ho
saari duniya ke ranj-o-gam de kar
muskuraane ki baat karate ho
ham ko apani Khabar nahi yaaro
tum zamaane ki baat karate ho
zikr meraa suna to chid ke kahaa
kis diwane ki baat karate ho
hadasaa tha guzar gaya hoga
kis ke jaane ki baat karate ho
———————————————–
apanii marzi se kaha apane safar ke ham hain
ruKh havaon ka jidhar ka hai udhar ke ham hain
pahale har chiz thi apani magar ab lagataa hai
apane hi ghar mein kisi dusare ghar ke ham hain
waqt ke saath hai mitti kaa safar sadiyon tak
kisako malum kaha ke hain kidhar ke ham hain
chalte rahate hain ki chalna hai musafir ka nasiib
sochte rahte hain ki kis rahaguzar ke ham hain
———————————————–
asar us ko zaraa nahi hota
ranj raahat-fizaa nahi hotaa
tum hamaare kisi tarah na hue
warana duniya mein kya nahi hota
narazgi se dam ruke to ruke
main kisi se Khafa nahi hota
tum mere paas hote ho goyaa
jab koi dusra nahi hota
Recent Comments